Sunday, January 24, 2010

Indian Poetry

India is a multi cultural land.We find thousands of traditions and languages here.Indian poetry has previaled on the gobe through the elctronic media.Indian movies and plays are watched throughout the globe with great keenness and joy.

English Poetry

English is an internatinal language today and is read ,understood and appreciated throughout the globe.Man English poets are William Shakespeare,William Wordworth.William Blake,Robert Frost,John Keats,John Milton etc.Their works are worth reading we have dozens of sites avilable where we can find evry dtail regarding these poets.

Parveen Shakir

baad muddat use dekhaa, logo

vo zaraa bhii nahiiN badlaa, logo
Khush na thaa mujhse biChhaD kar vo bhii
uske chehre pe likhaa thaa logo
uskii aaNkheN bhii kahe detii thiiN
raat bhar vo bhii na soyaa, logo
ajnabii ban ke jo guzraa hai a bhii
thaa kisii vaqt meN apnaa, logo
dost to Khair, koii kis kaa hai
usne dushman bhii na samjhaa, logo
raat vo dard mere dil meN uThaa
subah tak chain na aayaa, logo
Parvin Shaakir

khulii aaNkhoN meN sapnaa jhaaNktaa hai

voh soyaa hai ki kuchh kuchh jaagtaa hai
terii chaahat ke bhiige jangaloN meN
meraa tan, mor ban kar naachtaa hai
mujhe har kaifiyat meN kyuuN na samjhe
voh mere sab havaale jaantaa hai
maiN uskii dastras meN huuN, magar voh
mujhe merii razaa se maangtaa hai
kisii ke dhyaan meN Duubaa huaa dil
bahaane se mujhe bhii Taaltaa hai
saDak ko chhoD kar chalnaa paDegaa
ki mere ghar ka kachchaa raastaa hai

kuu-b-kuu phail gayii baat shinaasaaii kii
usne khushbuu kii taraH merii paziiraaii kii
kaise kah duuN ki mujhe chhoD diyaa hai usne
baat to sach hai magar baat hai rusvaaii kii
voh kahiiN bhii gayaa, lauTaa to mere paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mere harjaaii kii
teraa pahluu tere dil kii taraH aabaad rahe
tujh pe guzre na qayaamat shab-e-tanhaaii kii
usne jaltii huii peshaani par jab haath rakhaa
ruuH tak aa gaii taasiir masiihaaii kii
ab bhii barsaatoN kii raatoN meN badan TuuTtaa hai
jaag uThtii haiN ajab khwaahisheN angDaaii kii


ahle-e-dil aur bhii haiN ahl-e-vafaa aur bhii haiN

ek ham hii nahiiN duniyaa se Khafaa aur bhii haiN
ham pe hii khatm nahiiN maslak-e-shoriida sarii
chaak dil aur bhii haiN chaak qabaa aur bhii haiN
kyaa huaa agar mere yaaroN kii zubaaneN chup haiN
mere shaahid mere yaaroN ke sivaa aur bhii haiN
sar salaamat hai to kyaa sang-e-malaamat kii kamii
jaan baaqii hai to paikaan-e-qazaa aur bhii haiN
munsif-e-shahar kii vahdat pe na haraf aa jaaye
log kahte haiN ki arbaab-e-jafaa aur bhii haiN
(Parvin Shakir)


dil pe ek tarfaa qayaamat karnaa

muskuraate hue rukhsat karnaa
achchhii aaNkheN jo milii haiN usko
kuchh to laazim huaa vahshat karnaa
jurm kiskaa thaa, sazaa kisko milii
ab kisii se naa mohabbat karnaa
ghar ka darvaazaa khulaa rakha
hai vaqt mil jaaye to zahmat karnaa
(Parvin Shakir)

Faiz Ahmed Faiz

rang pairahan kaa, khushbuu zulf lahraane kaa naam

mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka naam
dostoN us chashm-o-lab kii kuchh kaho jiske baGair
gulistaaN kii baat rangiiN na maiKhaane kaa naam
phir nazar meN phuul mahke dil meN phir shama jalii
phir tasavvur ne liyaa us bazm meN jaane kaa naam
mohtasib ki khair, uuNchaa hai usii ke naam se
rind kaa, saaqii kaa, mai kaa, khum kaa, paimaane ka naam
ham se kahte haiN chaman vaale Gariibaan-e-chamantum
koii achchha saa rakh lo apne viiraane ka naam
faiz unko hai taqaaza-e-vafaa ham se jinheN
aashnaa ke naam se pyaaraa hai begaane ka naam
Faiz Ahmad Faiz

naseeb aazmaane ke din aa rahe haiN

qariib unke aane ke din aa rahe haiN
jo dil se kahaa hai, jo dil se sunaa haiN
sab unko sunaane ke din aan rahe haiN
abhii se dil-o-jaaN sar-e-raah rakh do
ki luTne luTaane ke din aa rahe haiN
Tapakne lagii un nigaahoN se mastii
nigaaheN churaane ke din aa rahe haiN
sabaa phir hameN puuchhtii phir rahii hai
chaman ko sajaane ke din aa rahe haiN
chalo Faiz phir se kahiiN dil lagaayeN
sunaa hai Thikaane ke din aa rahe haiN

donoN jahaaN terii mohabbat meN haar ke

vo jaa rahaa hai koii shab-e-Gam guzaar ke
viiraaN hai maikadaa, Khum-o-saaGar udaas haiN
tum kyaa gaye ki ruuTh gaye din bahaar ke
ek fursat-e-gunaah milii, vo bhii chaar din
dekhe haiN hamne hausle parvardigaar ke
dunyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
tujh se bhii dilfareb haiN Gam rozgaar ke
bhuule se muskraa to diye the vo aaj Faiz
mat puuchh valvale dil-e-naakarda-kaar ke
Faiz Ahmad Faiz

Khawaja Mir DARD

hai galat gar gumaan meN kuchh hai

tujh sivaa bhii jahaan meN kuchh hai
dil bhii tere hii Dhang siikhaa hai
aan meN kuchh hai, aan meN kuchh hai
be-khabar teG-e-yaar kahtii hai
baaqii is neem-jaan meN kuchh hai
in dinoN kuchh ajab hai meraa haal
dekhtaa kuchh huuN, dhyaan meN kuchh hai
dard to jo kare haiN jii ka ziyaaN
faaida is ziyaaN meN kuchh hai

Meer Dard

ham tujhse kis havas kii falak justujuu kareN

dil hii nahiin rahaa hai jo kuchh aarzuu kareN
tar-daamani pe sheKh hamaarii na jaaiiyo
daaman nichoR deN to farishte vazuu kareNsar taa qadam zubaaN haiN juuN sham'a go ki ham
par yah kahaaN majaal jo kuchh guftguu kareN
hai apnii yeh salaah ki sab zaahidaan-e-shahar
aye dard aa ke bai'at dast-o-subuu kareN
miT jaayeN ek aan meN kasrat-numaaiyaaN
ham aaiine ke saamne aa ke jab huu kareN

Allama Mohammad Iqbal

tere ishq kii intehaa chaahtaa huuN
merii saadgii dekh, kyaa chaahtaa huuN
sitam ho ki ho vaada-e-be-hijaabii
koii baat sabr-aazmaa chaahtaa huuN
yah jannat mubaarak rahe zaahidoN ko
ki maiN aapkaa saamnaa chaahtaa huuN
saraa sa to dil huuN magar shoKh itnaa
vahii lantaraanii sunaa chaahtaa huuN
koii dam kaa mehmaaN huuN, e ahl-e-mehfil
chiraaG-e-sahar huuN, bujhaa chaahtaa huuN
bharii bazm meN raaz kii baat kah dii
baDaa be-adab huuN, sazaa chaahtaa huuN

Allama Iqbal (Sir Mohammad Iqbal)

Ahmed Faraz

kyuuN tabiiat kahiiN Thahartii nahiiN

dostii to udaas kartii nahiiN
ham hameshaa ke sair-chashm sahii
tujh ko dekheN to aaNkh bhartii nahiiN
shab-e-hijraaN bhii roz-e-bad kii taraH
kaT to jaatii hai par guzartii nahiiN
ye mohabbat hai, sun, zamaane, sun!
itnii aasaaniyoN se martii nahiiN
jis taraH tum guzaarte ho Faraaz
zindagii us taraH guzartii nahiiN
Ahmed Faraz
is se pahle ki bewafa ho jaayeN

kyuuN na aye dost ham judaa ho jaayeN
tuu bhii hiire se ban gayaa patthar
ham bhii kal jaane kyaa se kyaa ho jaayeN
ham bhii majbuuriyoN ka uzr kareN
phir kahiiN aur mubtilaa ho jaayeN
ab ke gar tuu mile to ham tujhse
aise lipTeN terii qabaa ho jaayeN
bandagii hamne chhoD dii Faraaz
kyaa kareN log jab Khudaa ho jaayeN
Ghazal
ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa

aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa
kuchh to mere pindaar-e-mohabbat* kaa bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujhko manaane ke liye aa