Sunday, January 24, 2010

Faiz Ahmed Faiz

rang pairahan kaa, khushbuu zulf lahraane kaa naam

mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka naam
dostoN us chashm-o-lab kii kuchh kaho jiske baGair
gulistaaN kii baat rangiiN na maiKhaane kaa naam
phir nazar meN phuul mahke dil meN phir shama jalii
phir tasavvur ne liyaa us bazm meN jaane kaa naam
mohtasib ki khair, uuNchaa hai usii ke naam se
rind kaa, saaqii kaa, mai kaa, khum kaa, paimaane ka naam
ham se kahte haiN chaman vaale Gariibaan-e-chamantum
koii achchha saa rakh lo apne viiraane ka naam
faiz unko hai taqaaza-e-vafaa ham se jinheN
aashnaa ke naam se pyaaraa hai begaane ka naam
Faiz Ahmad Faiz

naseeb aazmaane ke din aa rahe haiN

qariib unke aane ke din aa rahe haiN
jo dil se kahaa hai, jo dil se sunaa haiN
sab unko sunaane ke din aan rahe haiN
abhii se dil-o-jaaN sar-e-raah rakh do
ki luTne luTaane ke din aa rahe haiN
Tapakne lagii un nigaahoN se mastii
nigaaheN churaane ke din aa rahe haiN
sabaa phir hameN puuchhtii phir rahii hai
chaman ko sajaane ke din aa rahe haiN
chalo Faiz phir se kahiiN dil lagaayeN
sunaa hai Thikaane ke din aa rahe haiN

donoN jahaaN terii mohabbat meN haar ke

vo jaa rahaa hai koii shab-e-Gam guzaar ke
viiraaN hai maikadaa, Khum-o-saaGar udaas haiN
tum kyaa gaye ki ruuTh gaye din bahaar ke
ek fursat-e-gunaah milii, vo bhii chaar din
dekhe haiN hamne hausle parvardigaar ke
dunyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
tujh se bhii dilfareb haiN Gam rozgaar ke
bhuule se muskraa to diye the vo aaj Faiz
mat puuchh valvale dil-e-naakarda-kaar ke
Faiz Ahmad Faiz

No comments:

Post a Comment